Banane ko to jahan bhi bana leta hu,Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu,Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai,Ek aur mukaddar is diye sa jala hai,Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai,Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.
Ada unki aur deewane hum bane...wafa wo na kar sake aur bewafa hum bane...yu to hazaro the bheed me...shukriya unka, jo unki nazron k nishane hum bane.
Hasa kar kisi din rula mat dena,khas bana kar kabhi gair bana mat dena mana ki roz apse hum milte nahi isi baat ka bahana bana kar kisi din bhula mat dena.