Hame ab nind ki talab nhi rahi,Ab rato ko jagna acha lagta hai.Muje nahi malum ki wo meri kismat hai k nahi,magar use khuda se magna achcha lagta hai..
Dilme chahat ka diya jalakar chup gaya koi,Mujhe apna diwana bana kar chup gaya koi,yeh dard kya hota hai malum na tha hume,Dardka rasta dikha kar chup gaya koi
Sanso ki Mehak ho ya Chehre ka Noor, Chahte hai aapko to isme Hamara kya Kasoor, Khuda se ek din Hum Puchenge Zaroor, Ki Chand se Kyun hai uski Chandni Door.
Umar bhar aapko itna pyaar denge,Soch se bhi zyada beshumaar denge,Di na hogi itni khushiyan kisi ne apne pyaar ko,Vaada hai utni khushiya bar bar denge.