Har chirag ki lau soyi-soyi thi.Uss sham vo kisi se bichad ke khoyi thi.Naha gaya tha me jugnu ki barish me.Jab vo mere kandhe par sar rakh kar royi thi.
Ajnabi Log Bhi Dene Lage ilzam Mujhe.!Najane Kahan Le Jayegi teri Pehchan mujhe.!Bhulna Chahu Bhi To Bhulu Kaise.!Log Le Le Ke Bulate Hain Tera Naam Mujhe.
Unki zudai ne hume yar se kafir bana diya,Likhi ibarato ko kore kagaz sa bana diya,Dalega phir dil hamara mohabbat me kabhi,Is aas ne hamko musafir bana diya.
Hone the khel muqaddar ke ho gaye,hum tuti nau leke samanddar ke ho gaye,khushbu mere haanth ko chhukar chali gai,hum phol sabko baant kar patthar ke ho gaye.