Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti, Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti, Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan, Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!
Ap ki Dillgi Me Apne Hosh kho BaitheKal tak khuda ke the aaj ap Ke ho baithe Suna To tha Pyar diwana kar deta h, Aaj khud pyar kar Ke,Hum Bhi hosh kho baithe.
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Hamara har lamha chura liya aapne, aankhon ko ik chand dikha diya aapne. Hamein zindagi to di kisi aur ne, par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.