Tumhari yaadon ko rok pana hai mushkil, rote huae dil ko manana hai mushkil, yeh dil aapko kitna yaad karta hai, ye labzo se bayan karna he namunkin...
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka, Shayad nazar se woh baat ho jaye. Is umeed mein karte hain intezaar raat ka, ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye
Zindagi mai kuch na mila humko to kya gum hai Aapka pyar mila humko kya ye kam hai Aapki dil mein ek chotisi jagah jo palun to woh jagah kya tajmahal se kam hai
Koi gila, koi shikwa na rahe aapse, yeh aarzoo hai ki silsila rahe aapse, bas is baat ki badi umeed hai aapse, khafa na hona agar hum khafa rehein aapse