Benam sa yeh dard thahar kyun nahi jata,Jo dur hai dil se utar kyun nahi jata,Ek chehra jo barso se hai ajnabi,woh khwab hai toh phir bikhar kyun nahi jata.
Dekho koi wada na karo bhool jao gay, Meri yaad zyada na karo bhool jao gay, Main aaun to ker lena gilay shikway saray, Abhi se irada na karo bhool jao gay
Apni tasveer ko aankhon se lagata kya hai,Ek nazar dekh, tera jata kya hai,Meri rushvai mein tu hai barabar ka sharik,Mere qisse aaron ko sunataa kya hain.