Mujhe sulane k khatir jab raat aati hai,Hum so nahi pate, raat khud so jati hai,Puchne par dilse ye awaz aati hai,Aaj unhe yaad kar le, RAAT to roz aati hai
Ankhon ko chahay koi bi manzer dakhai dey. bus ik shaks is main braber dakhai dey woh jitni bi muj say kerey berukhi utna hasseen pehley say bher ker dakhai dey
aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab
Yaad hai teri aur zindagi mein gam hai Manzar hai judai ka aur aankhen bhi nam hain Tu aaye to dhadak jaaye, aa jaaye isme jaan Teri aarzoo hai, dil mein dhadkanen bhi kam hain
Khab adhure sahi khab tumhare to hain.. Khab jhoote sahi khab sahare to hain.. Jaise taise kat jaye gi zindagi.. Tum humare na sahi hum tumhare to hain......
Girti hui baris ki bundo ko apne hatho me simat lo,jitna pani tum simat paye utna yaad tum hume karte ho,jitna pani tum simat nhi paye utna yaad hum karte hai.
Unki tasveer yuh aakho me bas gayi hai, Ki dekhte hai jo bhi nazara,..... wohi dikhai dete hai, Pehle na kabhi mehsus kiya tha dil ki dhadkan ko, Ab to har bar dhadakta hai.. .... wohi sunai dete hai....