Kabhi koi apna anjan ho jata hai,to kabhi kisi anjaan se pyar ho jata hai,ye zaruri nahi k jo khushi de usi se pyar ho.rulane walo se b aksar pyar ho jata hai.
Dilo ki Daastan UNHE kahan Kabool thi, Meri Wafayen UNKE liye Fizool thi, Koi Aas nahi lekin Itna to bta Do, Maine Chaha AAPKO,Kya bas Yehi Meri Bhool thi.
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.