Logoon nay apna hunar dekhaya bhee bohat hai Ja ja kar main nay manaya bhee bohat hai Sach pochoo too piyara bhee bohat lagta hai dil ko Wo shks jis nay dil ko dukhaya bhee bohat hai
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,, Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,, Koi hum ko yaad kare ya na kare,, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari...
Bahut taras kar nigahein jab nam ho gayi,Jugnu nachte rahe chamak kam hogayi,Kisi ko dekh lene ki tamana ne kiya pagal,Utar kar galon par shabnam sanam ho gayi
Log har manzil ko mushkil samajhte hai, ham har mushkil ko manzil samajhte hai. Bada fark hai log aur hamare nazarie me, log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai..
diwane hai ham tujhe bhi bana denge. dil me tere apni yad ki shama jala denge. raho chahe jitne bhi pathar dil banke aap. par yado se apni tumko bhi rula denge…