Na tasveer hai uski jo didar kiya jaye, na vo hai pass jo pyar kiya jaye, ye kaisa dard diya hai us bedard ne, na usse kuch kaha jaye na us bin raha jaye
Labo pe aaj unka naam aa gaya,,, Pyase ke hath me jaise jaam aa gaya,,, Dole kadam to gira unki baahon me jakar,,, Aaj humara pina hi hamare kaam aa gaya,,,
Dil cheer k dekh lo mera, Tasveer usi ki hogi,Kabhi hille agar is Dil k darwaje, Toh aahat usi ki hogi. Pyar ka jazba bhi kya khwaab dikha deta hai Ajnabi chehre ko mehboob bana deta hai
Kisi k dil me basna bura to nahi... kisi ko dil me basana khata to nahi.. gunah hoga Duniya ki nazar me to kya hua.. Kambakht Duniya wale khuda to nahi..,
kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil