phir din dhal gaya,fir raat aa gayi ,fir tanhai me baithne ki baat aa gai,abhi to taron ki panah me beithe hi the ,chand ko dekha to un ki yaad aa gai.
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Tanhai mein waqt barbad kiya karte hai, Hum har din har pal tumhe yaad kiya karte hai, Mein nahi janta gharwale batate hai, Hum neend mein bhi aapka naam liya karte hai