Dil se tera khayal na jaye to kya karu? tu hi bata teri yaad aaye to kya karu? hasrat hai ki ek nazar tujhe dubara dekh lu kismat woh lamha na laye to kya karu?
Zindagi aapke bina adhuri hai, na jane q aapke mere beech me ye duri hai, sochta hu kabhi bhula du aapko ko, per aapki ek muskan meri bahut badi kamjori hai…
Tu hain mujme shamil mere khun ki tarah tera tasawware jikr bhi karu kis tarah chahe door sahi lekin tu hain is duniya main teri ummid rehte huae main maru kis tarah
Rango ki fuhar se tarbatar huye kuch aise wo..Andaaze khafa se chaldiye..Uff Andaaz apna dekhte hai aaine me wo..Aur ye bhi dekhte hai..Koi dekhta na ho