Zindagi mai kuch na mila humko to kya gum hai Aapka pyar mila humko kya ye kam hai Aapki dil mein ek chotisi jagah jo palun to woh jagah kya tajmahal se kam hai
Hamara har lamha chura liya aapne, aankhon ko ik chand dikha diya aapne. Hamein zindagi to di kisi aur ne, par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.
Ek hi din me begaane ho Gaye. kal tak haqeekat the, ab afsaane ho Gaye. shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai, ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye
Fir wahi fasaana afsaana sunati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho