sama jo teri yaado ka is dil me jawa hoga, rahenge jaha hm, is dil me tera chera waha hoga. gujregi hawaye jab tumhari palko ko chukar, panah lena usme mera asiyana waha hoga.
Raste par mat baitho hawa tang karegi, Gujare hue lamhon ki saja tang karegi, Kisi ko mat lao dil ke itne kareeb, uske jane par uski har ek ada tang karegi.
Hazaro ki ginti to hame nahi aati,par khayal kuch aisa hai,ke ret ka har zarra agar nayab hira ban jaye,to tohfe me aapko registan dene ki khwaish rakhte hai.
Apse dur bhala ham kaise rah pate, dil se aapko kaise bhula pate, kash ki aap dil ke alava Ankho me bhi base hote, khud ko dekhte to aap hi nazar ate...