jee chaahta hai tumse pyari si baat ho, khaamosh taare aur lambi si raat ho, phir saari raat tumse hum kahte raheN, ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho!!
Ashkon ko humne kayi baar roka,phir bhi na jane kyon ankhen dhoka de gayi,bharosa to tha hame iN apne aap par magar,unka zikr aate hi naa jane kyon palken nam ho gayi
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.