Humne apni ik duniya banai hai,Jis mein rehti main aur meri tanhayi hai,Us tanhayi mein baatein aur yaadein hain uski,Agar batadun sab ko to meri ruswai hai
Har koi dil ka mehmaan nahi hota,Dil tod dena kisika armaan nahi hota,Door bhale hi reh leta hai koi kisise,Par bhool pana kisiko itna asaan nahi hota.
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya, Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya, Dil to dil tha samundar ka sahil nahi, Likh diya naam to fir mitaya na gaya.
Kisi fakir ka kabhi aitbar mat karna, Dosti ki hado ko kabhi paar mat karna... Kho doge use hamesha ke liye, Jo achchha lage use kabhi pyar mat karna...