Jaan chali jayegi hamari itna pyar na kariye,Pyaar me bechain hame mere yaar na kariye,Kasam hai aapko na rulaiye hame apni yaad me,Apni betabi ka izhaar baar baar na kariye.
Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah Har ek roop main tera intezaar karte hain Na tum samet sakogi jise qayamat tak Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
Darte Hain Aag Se, Kahin Hath Na Jal Jaye..... Darte Hain Waqt se, Kahin Der Na Ho Jaye... Darte Hain Maut se, Kahin Hum Bichadd Na Jayen... Darte Hain Aapse, Kahin Pyaar Na Ho Jaye...........