Ek muddat se jo khawab ban kar nazar me raha rooh ban kar vo mere badan me raha fana ho kar jise chaha tha dhadkano ne meri kareeb aa kar vo shask ajnabi sa raha
Khyal tha ki hum tujhe razdan bana lete Magar ye log nayi dastan bana lete Tu ek baar muhabbat se dekh leta to hum Zamin khud ko tujhe aasman bana lete
Kaise kehdon zindagi ko teri jaroorat nahi, jhooth kahta hoon jo kahata tujhse mohabbat nahi. ji kahta hai chal kisi maykhane me, aaj kuch thik apni tabiyat nahi.
Ab kya kahe ki unse mohabat na rahi,Ya ye ki unko humari jarurat na rahi,Unko bhi wada karke bhulane ka shauk hai,Aur humko bhi ab intejar ki aadat na rahi.
Humne apni ik duniya banai hai,Jis mein rehti main aur meri tanhayi hai,Us tanhayi mein baatein aur yaadein hain uski,Agar batadun sab ko to meri ruswai hai