Aap na Aye apki yad akar wafa kar gai,apse milne ki tamanna Sukun tabah kar gai,ahat hui socha asar Dua kar gai,Darwaza khola dekha mazak humse Hawa karGAYI.
Bahon main lelo muj ko k tanha hon main... Dharkan main basalo muj ko k Tanha hon main... Tum nahi to jahan main kuch b nahi... Muj main samaa jao k tanha hoon main........
Na Neend Ati Hain Na Chain Ata Hai... Koi Tu Batahe Aisa Kyun Hota Hain... Chalte Chalte Qadam Rukh Jate Hain... Jaise Koi Awaz De Raha Hota Hain... Chehra To Nazar Nahi Ata Hain... Lakin Kisi Ka Ehsas Wahan Hota hain..........
Ye Dekha Hai Humne Aazma Kar, Dur Chale Jaate Hai Log Aksar Kareeb Aakar, Kehti Hai Ye Duniya Par Dil Nahi Manta, Chod Jaoge Tum Bhi Ek Din Mujhe Apna Banakar
Banane ko to jahan bhi bana leta hu,Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu,Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai,Ek aur mukaddar is diye sa jala hai,Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai,Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.