Wo humari Bebasi ka Mazak banate gayeek Hum hi the jo phir bhi Muskrate gaye Sar-e-Bazar bik raha tha PYAR hamara Or ek woh the jo humari Kimat girate gaye.
Ap ki Dillgi Me Apne Hosh kho BaitheKal tak khuda ke the aaj ap Ke ho baithe Suna To tha Pyar diwana kar deta h, Aaj khud pyar kar Ke,Hum Bhi hosh kho baithe.
Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta, fiza gai to baharo me ji nahi lagta, na puchh mujse tere gum me kya gujarti hai, yahi kahungi hazaron me ji nahi lagta.”
Bas ek tamanna hai ki unse mulakat ho,bat unse aage badhe aur unka sath ho,kab tak hum yunhi ek dosre ko dekhte rahenge,kuch khamoshi tute aur izhar ka agaz ho.
Dil ki kitab ka panna chura le gaya koi...., Dhadkan dil ki chura legaya koi..., Hum to raja the dil k..., Ek nazrana de k gulam hame bana gaya koi...!
Vishwas ka dhaga kachcha nahi hota, rishto pe shaq karna achha nahi hota,U to hoti hai kai bar galat femiya,magar unsejo pade kamzor wo pyar sachha nahi hota..