Yaad karne ke liye koi cheez chahiye, Aap nahi to aapki taswir chahiye, per taswir aapki hamara dil behla nahi sakti, kyonki yeh aapki tarah muskura nahi sakti.
Shareek thhey hum shaam-e-bazm main kahin, Teri yaad maenkhaane main bhulane ko kahin, Thhi umeed bandhi phir bhi is dil main, Laut aaogey tum mera saath nibhaane yahin
Din sara yaadon me guzar jata hai,Phir bhi raat ko aapka hi khayaal aata hai... Kuch yaadein is kadar ban jaati hain ki,Aaine me bhi chehra apka nazar aata hai
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,