Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.
Aankhon mein aansuo ko ubharne na diya,Mitti ke motiyo ko bikharne na diya,Jis raah pe pade thay tere kadmo ke nishaa,Uss raah se kisiko guzarne na diya!