gulab mohabbat ka pagam nahi hota,chand chandni ka pyar sare aam nahi hota,pyar to hota hai man ki nirmal bhabnao se,varna uun hi radhey-krishna ka naam nahi hota.
Zindagi har waqt azmaish si hoti hai,apse milne ki khwaish si hoti hai.Mana k apko yad nahi karte,kyunki yad wo ate hai jinko bhulne ki gunjaish si hoti hai.
Ishq cheez hi aisi hai, daman chudaya nahi jaata Doob gaye hain pyaar mein itna, kuch chupaya nahi jaata Izhaar to karna chahte hain, par mohabbat jatayii nahi jaati Doori itni hai beech humare, ki chahat dikhayii nahi jaati
Shama kehti hai Mujhe banaya kisne,jis jis ke Haath lagi mujhe jalaya usne,wo shama kya jise koi jalane wala na ho,wo insan hi kya jise koi Chahne wala na ho
Har koi dil ka mehmaan nahi hota,Dil tod dena kisika armaan nahi hota,Door bhale hi reh leta hai koi kisise,Par bhool pana kisiko itna asaan nahi hota.
Kitna Saroor Rat Ki Tanhayioun M Tha Chup Tha Ke Jese Chand Bhi Ruswaiyoun M Tha Sab Ja Rhe The Apne khudaon ko PoojneTab mein Tere Khyal Ki Gehraion Mein tha
Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta, fiza gai to baharo me ji nahi lagta, na puchh mujse tere gum me kya gujarti hai, yahi kahungi hazaron me ji nahi lagta.”
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne