Manzil Bhi Kho Chuke Humsafar Bhi Nahin Raha Meri Kisi Bhi Duaa Main Sayad Asaar Hi Nahin Raha Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar wo bichaddh raha hai mujhse Lafzoon Ko Jodnay Ka Tabse Hunaar Bhi Nahi Raha...
hum nay kab us say mulakat ka wada chaha, dur rah kar usay aur bhi ziyada chaha, yaad aya mujhay wo bari shidat se, bhool janay ka usay jub bhi erada chaha
Bas ek tamanna hai ki unse mulakat ho,bat unse aage badhe aur unka sath ho,kab tak hum yunhi ek dosre ko dekhte rahenge,kuch khamoshi tute aur izhar ka agaz ho.
Na kabhi ye chupaya ki Pyaar kitna hai,Na kabhi ye Jataya ki dard kitna hai, Bus ek hume aur uss Khuda ko hai maloom,; tujse mulakat ka intezar kitna hai.
Bahut taras kar nigahein jab nam ho gayi,Jugnu nachte rahe chamak kam hogayi,Kisi ko dekh lene ki tamana ne kiya pagal,Utar kar galon par shabnam sanam ho gayi