Labo pe aaj unka naam aa gaya,,, Pyase ke hath me jaise jaam aa gaya,,, Dole kadam to gira unki baahon me jakar,,, Aaj humara pina hi hamare kaam aa gaya,,,
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai, bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai, yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin, mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
Sanso ki Mehak ho ya Chehre ka Noor, Chahte hai aapko to isme Hamara kya Kasoor, Khuda se ek din Hum Puchenge Zaroor, Ki Chand se Kyun hai uski Chandni Door.
Kuch bikhare sapno se ankhon mein nami hai... Ek chhota sa aasma aur umido ki zamin hai... Yun to bahut kuch hai zindagi main... Sirf jo apna hain uski kami hai......