Ek hi din me begaane ho Gaye. kal tak haqeekat the, ab afsaane ho Gaye. shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai, ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye
Kon tha apna kis pe inayat karte.Hamari to hasrat rahi tum bhi mohabat karte.Us ne samjha hi nahi mujhe kisi kabil.Warna us se pyar nahi us ki ibadat karte
Khuda tumhe har dukh se door rakhe teri palkon se har hanju door rakhe hamari yahi guzarish hai unse ke jitna bhi ho hamare darmiyaan faasla vo apne dil se na hamein kabhi door rakhe
WOH RUTHE IS KADAR KI MANAYA NA GAYA, DUR ITNE HO GAYE KI PAAS BULAYA NA GAYA, DIL TO DIL THA SAMUNDAR KA SAHIL NAHIN, LIKH DIYA NAAM TO PHIR MITAYA NA GAYA.
Tu meri chahat hain, tu meri tamana hain, tu meri aarzoo hain, tu hi meri dua hain, tu hi mera dil ka sukoon hain, tujhe pane ki aas hain, tu hamesha mere dil ke paas hain, ab toh har pal yeh ehsaas hain, Ki tu mere liye kuch khaas hain.
Agr khush hai wo dekh k ansu meri ankho me, to khuda ki kasam hum muskurana hi chod denge. Tadapte rahenge use dekhne ko magar uski taraf palke uthana hi chod denge.