Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka, Shayad nazar se woh baat ho jaye. Is umeed mein karte hain intezaar raat ka, ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye
Hasa kar kisi din rula mat dena,khas bana kar kabhi gair bana mat dena mana ki roz apse hum milte nahi isi baat ka bahana bana kar kisi din bhula mat dena.
Rango ki fuhar se tarbatar huye kuch aise wo..Andaaze khafa se chaldiye..Uff Andaaz apna dekhte hai aaine me wo..Aur ye bhi dekhte hai..Koi dekhta na ho
Benam sa yeh dard thahar kyun nahi jata,Jo dur hai dil se utar kyun nahi jata,Ek chehra jo barso se hai ajnabi,woh khwab hai toh phir bikhar kyun nahi jata.
Zindagi phool si muskurati rahe,Har khushi aapke daaman me jagmagati rahe,Uparwale se duva hai to bas itni,,Kabhi-kabhi apko humari bhi yaad aati rahe..