Dil ki batein aakhon se kahi jati hai,Bol dhadkan se sune jate hai,Aap toh nadan hai jo saaf sunna chahte hai,ishq ke jazbat toh sirf mehsoos kiye jate hai.
hum nay kab us say mulakat ka wada chaha, dur rah kar usay aur bhi ziyada chaha, yaad aya mujhay wo bari shidat se, bhool janay ka usay jub bhi erada chaha
Raste par mat baitho hawa tang karegi, Gujare hue lamhon ki saja tang karegi, Kisi ko mat lao dil ke itne kareeb, uske jane par uski har ek ada tang karegi.
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Kabhi Ati Hai,Khamoshi Say Rat Mein Veeraney Main Kise Waja Say Kis Liye Kis K Liey Ye Keya Hey Ek Ehsas Ek Pyass Phir Bhi Acchi Lagti Hai Unjani Si Phachaani S iKhoobsurat Si Tumhari Yaad.
yaado main kabhi aap bhi khoye hoge khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge maana hasna hai aadat gum chupaane ki par haste haste kabhi aap bhi roye hoge