Kitne raate beet gai...Kitne din beet gae...Bus beeta nahi to...Yaadon ka wo pal...Wo guzra hua kal... Beeti nahi to aankho ki nami or aapki kami......
Tere husn ki tareef karu to tarana na ban jaye,Teri bewafai ka zikar karu to fasana na ban jaye, Mat ker logon mei itna zikr mera, kahin mera zikr, tujhe chedne ka bahana na ban jaye.
Log kehte hain wo mujh se Juda rehta hai, Ban k dhadkan Jo mere dil main sada rehta hai, Yun meri zaat main shamil hai uski hasti, Jis tarah sare zamane main Khuda rehta hai.