Umra ki rah me insan badal jate hai, waqt ki aandhi me tufan badal jate hai, socha tumhe itna yaad na karu, lekin aankh band karte hi irade badal jate hai...
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.
Aa k meri kabr pe tune jo muskura diya, bijliyan chamak uthi sara badan jala diya. Jeete je na poocha haale dil kabi, ab aye ho poochne jab khaak me mila diya ?
Socha tujhko phool kahu maiLaikin phool bikher jata hai,Socha tujhko khowab kahun maiLekin khowab to mar jata hai,Socha tujhko shaam kahun maiLekin shaam to dhal jati hai,Or tu dhalti shaam nahi hai,Tera koyi naam nahi hai.
Ishq Ke phool Bhi Khilte hain .. Bikhar Jaate hain .. Zakhm Kaise Bhi hon ..Kuch roze main Bhar Jaate hain .. Us khwaboon main Aab koi Nahi Aur hum Bhi Nahi .. Itne roze Se Aaye hain ... Chup Chaap Guzar Jaate hain ..
Rona bhi chaho toh woh rone nahi deti,Woh Shakhs toh palke bhi bhigone nahi deti.Aati hai khyaalon mein kaun ye aksar?Jo mujhe kisi aur ka hone nahi deti.