Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Ae khuda, bhala hota, gar tu sirf ghum hi deta Use khushi ke saath jodne ki kya zarurat thi.. Bana deta muze uski zulfon ka koi gesu, Aashiq ya dost bananeki, kya zarurat thi..