Chehre ki har muskan ban jata hai koi, dil ki har dhadkan ban jata hai koi, phir kaise jiye zindagi uske bin, jab zindagi jine ki wajah ban jata hai koi..
Lehro se milkar na wo beh sake na hum! Ek duje k dil me na wo reh sake na hum! Jeet lete aasma ek din lekin palko ki khamoshi ko honton se na wo keh sake na hum!
Ishq Ne Insan Ko Kya Se Kya Bana Diya Kisiko Kavi To Kisiko Katil Bna Diya Do Phulon Ka Boj Na Utha Skti Thi Mumtaz Or Shahjhan Ne UsPr TAJMAHAL Bna Diya.
Yaad mein teri aankhe bharta hai koi, har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi, maut to sachai hai aani hai, lekin teri judaai mein har roz marta hai koi....!
Tu hain mujme shamil mere khun ki tarah tera tasawware jikr bhi karu kis tarah chahe door sahi lekin tu hain is duniya main teri ummid rehte huae main maru kis tarah
Ek sapne ki trah tume saja ke rakhu,chandni raat ki najro se tumhe chhupake rakhu,meri takdir mere sath nahi vrna zindgi bhr ke liye tume apna bnake rakhu.