Konse Shabd Kya Ahesas pesh Karu,Zindagi Ki Kitab Ka Kon Sa Panna Pesh Karu, U To Kai Raaz Dafan He Seene Me;Kahiye Tute Hue Dil Ka Konsa Tukda Pesh Karu.
hum aapki dosti ko salam karte hai iska har 1 lafz aapke naam karte hai aaj aap mango khuda se jo aap chaho, kyonki hum aaj ki har mannat aapke naam karte hai.
Kisi k dil me basna bura to nahi,kisi ko dil me basana koi khata to nahi,gunah ho ye zamane ki nazar me to kya hua,zamane wale bhi to insan hai khuda to NAHI
Hamara har lamha chura liya aapne, aankhon ko ik chand dikha diya aapne. Hamein zindagi to di kisi aur ne, par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.
Yaado me hamari woh bhi khoye honge, khuli aankho se kabhi woh bhi soye honge, mana ki hasna ada hai gum chupane ki, par haste haste kabhi woh bhi roye honge
Faasla mita kar aapas main pyaar rakhna,Pyaar ka ye rishta hamesha yun hi barkaraar rakhna,Bichad jaye kabhi aapse hum toh,Aankhoon main hamesha intazar rakhna
Nazro ko nazaro ki kami nahi hoti , foolo ko baharo ki kami nahi hoti , fir kyo hume yaad karoge aap , aap to aasman ho or aasman me sitaro ki kami nahi hoti.
Door tumse tab bhi na the,door tumse ab bhi nahin.Kuch faasle aa gaye hamare beech,par dil se door tum ek pal bhi nahin.Kabhi dil se dil ko yaad karke to dekh,yeh dooriyaan kuch bhi nahin