tera pyar na pakar mene bahut kuch khoya khusi k pal chand dil jee bhar kar roya pyar ne badal dali meri kismat fir b mujhpe pyar ka nasha chaya aaj b mahsush kiya hai mene jab b thokar khayi aur sambhalna chaha sanam ka naam khuda se pehle aaya
Humne apni ik duniya banai hai,Jis mein rehti main aur meri tanhayi hai,Us tanhayi mein baatein aur yaadein hain uski,Agar batadun sab ko to meri ruswai hai
Phoolo ke bicch khade ho kar bhi khusboo ki kami hai Baharo ke bicch jhoom kar bhi khushiyon ki kami hai Sabhke saath hote hue bhi mere mehboob teri kami hai.
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us PalJab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai
Tumhara Naam likh kr mitana bhool jata hoon.. Tumhain Jab yaad krta hoon bulana bhool jata hoon.. Bohat c aysi batain hain jo mary DIL main rakti hain.. Mager jab tum sy milta hoon sunana bhool jata hoon.. Tumhary Baad ab her pal bari mushkil sy Katta hai.. Main aksar tum ko Khawabon main batana bholl jata hoon.. Main her shaam kahta hoon k tum bhool gaon ga.. Mager jab subha hoti hai to Bholana bhool jata hoon.........