Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.
Poocho na us kaagaz se, jis per hum dil ke bayaan likhte hain, tanhaayion mein beeti baatein tamaam likhte hain, woh kalam bhi dewani ho gayi, jis se hum tumhaara naam likhte hain.....
Behate ansu ki kabhi juban nahi hoti. Labzo pe mahobbat bayan nahi hoti. Agar mile kisi ka pyar to kadar kijiyega. Kyo ki Kismat har kisi pe maherban nahi hoti
Dil k kehne pe dil ki duniya chhod aaye,Sabhi rishte nato se muh mod aaye.Humse na mangna hisab wafai ka-e-yaro,Unki chahat me n jane kitno k dil tod aye.
Koi khwab in aankho me sajaya hi nahi,Hamare dil ki gehrai ko koi samajh paya hi nahi,Kisi ko mehsus ho kami hamari,Khuda ne Shayad hame aisa banaya hi nahi.