Dekho koi wada na karo bhool jao gay, Meri yaad zyada na karo bhool jao gay, Main aaun to ker lena gilay shikway saray, Abhi se irada na karo bhool jao gay
Raston pe na bheth k howa tang keregi Bichere howe logon ki sada tang keregi Mat toot k chaho use aagaz-e-safer main Bicherega jab woh tu ik ik ada tang keregi
Yaad hai teri aur zindagi mein gam hai Manzar hai judai ka aur aankhen bhi nam hain Tu aaye to dhadak jaaye, aa jaaye isme jaan Teri aarzoo hai, dil mein dhadkanen bhi kam hain