Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Yaad karne ke liye koi cheez chahiye, Aap nahi to aapki taswir chahiye, per taswir aapki hamara dil behla nahi sakti, kyonki yeh aapki tarah muskura nahi sakti.
Na dil se hota hai,na dimag se hota hai, ye Pyaar to itefaaq se hota hai;Aur kya kahen Pyaar karke bhi Pyaar na mile,Ye itefaq sirf hamare hi saath hota hai
Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye, Kyu ho khafa ye bayan to kijiye, Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata, Yu yaad na kar ke saza to na dijiye