Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,, Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,, Koi hum ko yaad kare ya na kare,, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari...
khushgawar mausam hai thodi c hawa me nami hai aansuon ki behti nadi abhi-2 thami hai milna to hum b chaahte hai unse par hmaare paas saanson ki aur un k paas waqt ki kami hai
maine aansu mange the tumse,tumne hasi de di,maine maut mangi thi tumse,tumne zindagi de di,zindagi dene ki ab wajah to batao,nahi to apni zindagi bhi sath le jao.
Kis par dosh lagaye apni barbadi ka,pyar ki raho me hum khud bhi gunehgar hai,jo lamhe bitaye the sath milkar kabhi,aaj mere liye vahi lamhe yaadgar hai.
Kaun uthayega tumhari ye zafa mere baad,Yad ayegi bahut meri wafa mere jane ke baad,Shukra hai mahobat ne kiya itna range asar,Teen din usne na lagai mehndi mere jaane ke baad.