Nikalte hai ansu jab mulakat nahi hoti, tut jata hai dil jab bat nahi hoti, apki jaan ki kasam jab aap na yaad aye, esi koi subha esi koi raat nahi hoti.
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.
Dosti ki ek andekhi surat ho aap, Kisi ki Jindagi ki jarurat ho aap, Khubsurat to ful bhi bahut hai, lekin kisi ke liye, ful se bhi khubsurat ho aap...