Lamho mein jo kat jae wo kya jindagi aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi
saalon baad na jaane kya sama hoga, hum me se na jaane kaun kaha hoga, phir milna hoga to milenge yaadon me, jaise sukhe gulab milte hai purane kitaabo me
Dil paraya ho sakta he,par preet nahi,Dariya gahera ho sakta he,par pani nahi,Hum to humesha apka saat nibhayenge,q ki Pyar ek tarfa ho sakta he,Dosti nahi.
Armano ki sej par dosti ne karwat li hai.Apke dost ne apko ye kasam di hai.Juda ho k bhi juda na hona.Warna log kahenge,Ek dil ne dhadkan Ki jaan li hai.
laut jati hai jindagi gum hamara dekh kar, jaise laut jati hai lahere kinara dekh kar , mere janaje ko kandha na dena tum , kahi phir jinda na ho jau tera sahara dekh kar.
"DOST" ho to aanshu ki bhi shaan hoti hai, "DOST" na ho to mehfil bhi shamshaan hoti hai, saara khel to "DOSTI" ka hai, verna "JANAZA" aur "BARAAT" ek samaan hoti hai..