yaado main kabhi aap bhi khoye hoge khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge maana hasna hai aadat gum chupaane ki par haste haste kabhi aap bhi roye hoge
Chand tare jami pe lane ki zid thi, hume unko apna banane ki zid thi, achha hua wo pehle hi ho gaye bewafa , warna unhe pane ko zamana jalane ki zid thi.
Yaad mein teri aankhe bharta hai koi, har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi, maut to sachai hai aani hai, lekin teri judaai mein har roz marta hai koi....!
Wo kahakar chal diye itni mulakat bahut hai,Hamne kaha ruk jao abhi raat bahut hai,Tham jaye mere ansu to shauk se jana,Aise me kaha jaoge barsaat bahut hai