Zindagi ek baar milti hai usko na yun barbaad karo, khushi ho ya gam ka aalam us khuda par aitbaar karo, mohabbat hi to hame jeena sikhati hai is zamane mei isiliye doston kisi na kisi se tum bhi pyaar karo…
ham apne aap mein yun gumm hue hein muddat se, hame to jaisay kisi ka bhi intezaar nahi… kisi ko toot kar chaahen ya chaah kar tootain, hamare paas to itna bhi ikhteyaar nahi…
Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.