Jab bhi yaad aati hai muskura lete hai kuch palo ke liye har gam bhula dete hai kaise bhig sakti hai palke aap ke aap ke hisse ke aansu to hum baha lete hai..
Kalam uthaya hai par lafz nahi milta, Jisko dhoond rahe hai who shuks nahi milta. Firte hai who zamane ki talash mein, Bas humare liye unhe waqt nahi milta.
Zamane bhar ki baton mei hame bhula na dena jab kabhi yaad aaye to zara muskura dena zinda rahe to milenge dost nahi to har diwali mere naam ka diya jala dena!
Kabhi Kabhi teri palkon pe jhilmilaaun mein, Tu kare intzaar aur na aau mein, Samunder mein le ja kar fareb na karna e-dost, Tu kahe to kinare pe doob jaau mein
Har injam ke hakdar wo hame bana jate hai, har khata ki saja wo hame suna jate hai, ham har bar khamosh rah jate hai, kyunki wo har bar Dost hone ka hak jata jate hai...