Wo pal b kya pal raha hoga,Jab khuda aap jaisa DOST bana raha hoga,Pareshan hoga khuda b us waqt,Kyunki har koi aapko paane ke liye khuda ko mana raha hoga!
Dosti itni karo ki usme koi nafrat na ho Bharosa itna karo kiusme koi shaq na ho. Intezar itna karo ki usme koi waqt na ho Pyar itna karo ki usme koi had na ho.
Mout ki gaadi me jis din sona hoga. Na koi takiya hoga na koi bichona hoga. Saath hongi aap jaise DOSTON ki meethi yaaden. Aur shamshan ka ek chota sa kona hoga.
Zindagi mein kabhi to mujhko yaad karoge, Mehfil mein nahi to tanhai mein fariyad karoge, Humsa na mila na milega koi aur, Tab apni kismet pe naaz karoge.