aankho me raha dil me utar kar nahi dekha, kashti ke musafir ne samander nahi dekha, yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine, unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Zamane bhar ki baton mei hame bhula na dena jab kabhi yaad aaye to zara muskura dena zinda rahe to milenge dost nahi to har diwali mere naam ka diya jala dena!
laut jati hai jindagi gum hamara dekh kar, jaise laut jati hai lahere kinara dekh kar , mere janaje ko kandha na dena tum , kahi phir jinda na ho jau tera sahara dekh kar.
Meethi baaton se nahi hota pyaar, Har phool nahi banta haar... Yun toh zindagi me koi aata hai aur jata hai, Lekin har koi nahi banta aap jaisa yaaar..