aankho me raha dil me utar kar nahi dekha, kashti ke musafir ne samander nahi dekha, yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine, unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Kya zamaana tha,hum roz mila karte the; raat bhar chaand ke humraaz fira karte the.. Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....
Rishte to bante hai uparwale ki duniya me,hum to sirf nibhana jante hai,pata nahi dusare janam ke bareme par Aap jaisa dost har janam me pana chahte hai.
Chand ki chandni shayad madhyam pad jaye, phulon ki khushbu shayad phiki pad jaye. Par hamari dosti mehekti rahe, shayad zindagi ke lamhe kam pad jaye.
Dosti sachi ho to waqt ruk jata he,asma lakh ucha ho magar jhuk jata hai, Dosti me duniya lakh bane rukawat,agar dost sacha ho khuda bhi zukh jata hai!