Ek Awara Kiran Bhatakti Nazar Ayi Thi Jahan Sunte Hai Us Mukam Se Dariya Kareeb Tha Jaise Hi Fasal-E-Gul M Humare Kadm Pade Gulshn Ujjd Gya Yh Humara Naseeb Tha
hasane ke bad kyon rulati hai duniya, jaane ke bad kyon bhulati hai duniya, baki rehti hai kya kasar zindgi me, ki marne ke bad bhi jalati hai duniya......
Bhari Mehfil Me Tanha Rehna Sikha Diya, Unke Ishq Me Jhooth Kehna Sikha Diya, Kisi Dard Ya Khushi Ka Ehsaas Nahi Ab, Sab Kuchh Pyar Ne Sehna Sikha Diya.
Zamee pe nahi yaar, dilon pe raaj kar Har soorat-e-wafaa ka hardam riyaaz kar naa paa sakaa muhabbat iska na gham banaa jo de saka muhabbat uspe tu naaz kar..
tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata phir bhi dil ki baat keh nahi paata kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata