Bada armaan tha tere sang jeevan bitanne ka, Shikwa he bas tere khamosh reh jaane ka, Dewaangi isse badkar bhi kya hogi, Aaj bhi intajaar hai tere aane ka.
Gam ke saye mein guzara hai jeevan humne, Apni palko ko aansuo se sajaya hai humne, Apni chahat ko kabhi pa na sake hum, Khud rokar dusro ko hasaya hai humne.