Humne pyar nahi ishq nahi ibadat ki hai,Rasmon se riwajo se bagawat ki hai,Manga tha humne jise apni duwaon me,Usi ne mujhse juda hone ki chahat ki hai.
Hijr Ke Mosam Main Ye Barish Ka Barasna Kesa Ik Sehraa Se Samandar Ka Guzarna Kesa Aye Mere Dil Na Pareshan Ho Tanha Ho Kar Wo Tere Sath Chala Kab Tha To Bichadna Kesa.
Rang wale rang se tasveer badal dete hain,Nikle hue kamaan se teer badal dete hain... Tumse mere do aansu na badle gaye,Badalne wale to taqdeer badal dete hain
Mere Honton Ke Mehaktay Hue Naghmo Par Na Ja Mere Seenay Main Kaye Aur Bhi Ghum Paltay Hain Mere Chehray Par Dikhaway Ka Tabassum Hai Magar Meri Aankhon Main Udaasi Kay Diye Jalte Hain
Teri Raahon Mein Kabse Aankhen Beechaye Baithay hain Is Dil ke tufan Mai Mohabbat Ki shama Jalaye Baithe hain Aey Zaalim kis Morr Pe Laa kar Chodha Hain Tunnay Mujhko Aaj bhi Milne ki Hasrat se teri yaad ko dil se lagaye Baithe hain
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Aaj hume apni kismat par gusa hai aaya * *Fir hum ne apne aap ko baith kar samjhaya hai.* *Abey kismat ko kosne wale insan* *kya kbhi kismat se bhi koi jeet hai paya.*