Kitne Badal Gaye Hai Woh Halat Ki Tarah..Khamosh Baithe Hai Guzre Lamhat Ki Tarah..Hum Kya Un K Husn Ka Sadka Utar De..Hume Pyar Bhi Mila To Khairat Ki Tarah..
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Raat ho gayi par Nind kaha hai,So jau par wo pyara sath kaha hai,Kuch sunu pr wo khubsurat si pyari aawaz kaha hai,Roye b to kaise 'KOI' paas kaha hai.
Kuch aise din b meri zindagi mei aaye hai.. Aankhe jab roti hai honth muskaraye hai, sabse jyada jo dur gaye mere daman se,jaane ku sabse adhik yaad wahi aaye hai..
Na khuda dil banata na kisise pyar hota, Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota. Dil diya hai ise sambhal ke rakhna, Shishe se bana hai pathar se dur rakhna